View Single Post
  #1  
08-19-2011
preeti chaturvedi
Junior Member
 
: Aug 2011
: lucknow,uttar pradesh
:
: 5 | 0.00 Per Day
hindustaan ki zuban

"Main aaj bahut hi pareshaan hun,
dekh kar duniya ki aisi halat,
main bahut hi hairaan hun,


koe kehta main hindu hun,
kehta koe main musalmaan hun,

dekh kar duniya ki aisi halat,
main bahut hi hairaan hun.

har taraf aag ki laptein uth rahi hain,
usmein na jaane kitno ki chitaayein jal rahi hain,

[COLOR="rgb(139, 0, 0)"]granth aaj syayam hi soch mein pad gaye hain,
main geeta hun ya phir kuran hun,[/color]

dekh kar duniya ki aisi haalat,
main aaj bahut hi pareshaan hun.

kahin laxmi juyein or nashe ki bali chad rahi hai,
to kahin tijoriyon k andar band padi hai.

[COLOR="rgb(139, 0, 0)"]banane wala b soch mein pad gaya hai,
ki main khuda hun, ya bhagwaan hun,[/color]

main aaj bahut hi pareshaan hun,
dekh kar duniya ki aisi haalat ,
main bahut hi hairaan hun.

jai hind, jai bharat.