India Against Corruption

Register

  India Against Corruption > INDIA AGAINST CORRUPTION > Starters > Members Forum > Member Intros
New Topics

Victimzation of the members of team of Anna

Anjali ji, Don't say 'Ganwar'...Privilege Motion ho jayega...! Sahee Keh Raheen Hain Aap...Nyay ke liye Aag Chahiye to Ghulami Kaisi...Sochta .....



9


  #31  
09-06-2011
Senior Member
 
: Aug 2011
: Kolkata
:
: 384 | 0.08 Per Day


Anjali ji,

Don't say 'Ganwar'...Privilege Motion ho jayega...!

Sahee Keh Raheen Hain Aap...Nyay ke liye Aag Chahiye to Ghulami Kaisi...Sochta Hoon kabhi kabhi...Annaji ka yeh movement kya ant tak Non-Violent reh payega ?

Agar ek baar bigda...to Qayamat aa jayegi...mantriyon ko to yeh desh se bhaga hi denge...par beech mein kitne beqasoor logon ki jaanein jayengi...kitne masoom bachche maare jayenge...bina kisi dosh ke...pisenge...

Isiliye to aag jalti hai andar...baar baar Netaji Subhash Chandra Bose yaad aate hain...Woh ek hi insaan thhey...jo sahi raaste par hamari shuruaat karke jaa sakte thhey...par unko to in logon ne Russia mein jaake Stalin ke under qaid karwa diya...nahin to N-baba, sorry, N-chacha, kya aise hi Russians ke taraf jhukte thhey...

G-Baba jaise charitraheen aadmi ko Bharat ka Sitara bana ke rakh diya hai...ek hauuwwa bana ke rakh diya hai...saatth varshon mein so-called Non-Violence ko to sirf ek smoke-screen ki tarah use kiya...dar-asal Non-Violence naam ki to koi cheez hamare desh kabhi mein thi hi nahin...jo thi woh hai "Ahimsa" - hamare "Ahimsa" aur is "Non-Violence" mein to Zameen-Aasmaan ka farq hai...yeh Non-Violence to sarasar chaaploosi, chaalaaki, charitraheenta, gundagardi, deshdroh aur pata nahin kitni vikritiyon ka sammishran hai...par Anna ji bhi ab sahi kar rahe hain...isi smoke-screen ko ab unhi pe prayog har rahe hain...good taste of their own medicine...

Hamare desh ke is bhrastachar ki shuruwaat sirf Azaadi se nahin...balki ye azaadi se kaheen pehle shuru hui thi...Hamare Azaadi ki ladaai hi kichad se bhari hui thi...pehle to samajh mein nahin aata tha...par jaise jaise raaz khulte gaye, maen samajhta gaya, dil toot-ta chala gaya...kya sochta tha, kya niklta chala gaya...aankhon ke saamne saari aakritiyaan jaise kachche mitti ki dher ki tarah dhul kar nikal gayeen...jaise kuchh nahin raha...saamne pada raha to sirf keechad...sirf keechad...

Aur yeh keechad sadte sadte aaj yahan aa pahunchi hai...jaise har khidki, har darwaaze par phael chuki hai...Saamne dekhne ki koshish karta hoon to kuchh dikhta hi nahin...sirf andhiyara...sirf andhiyara...aaine mein apne aap se nazar nahin mila paata...naak bhi jaise iske badboo se sunn ho gayi ho...

Sab kuch ubhar ke aata hai...aankhon ke saamne jaise Subhash Chandra Bose ka nazara phael jaata hai...dikhai deta hai ki satta ke laalach mein kaise deshdrohiyon ne unhe raaste se hata diya....

Lekin dosh hamara bhi hai....jis aadmi ki wajah se hum aaj aazad khade hain (koi G-baba ya N-chacha ke wajah se hum azaad nahin huye hain...bilkul bhi nahin...agar humne waisa kaha bhi to yeh hamare itihaas ki agyanta ka parichaayak hoga...hamare itihas ki vikiriti ka chinha)....I repeat - jis aadmi ki wajah se hum aaj azaad khade hain...humne unhi ki koi khabar nahin lee...koi koshish bhi nahin ki...itne besharam hain hum...IS AGYANTA KI KEEMAT TO HAMEIN CHUKAANI PADEGI HI...AUR HUM CHUKA BHI RAHE HAIN...THE GHOST OF CAESAR IS MIGHTIER THAN CAESAR HIMSELF...

Isi liye kitne dinon se main logon ko samjhane ki koshish kar raha hoon...ki is Bhrashtachar se chhutkara paana hai to hamein apni Vaastavik Bharatiyata ko pehchanna hoga...aur uske liye hamein sirf sau-do-sau saal nahin, balki hazaron saal peechhe dekhna hoga...kyonki hamari sanskriti ki shuruaat wahan se hai...kai log poochte hain ki utna peechhe hum kyon dekhein...kya aaj ke hamare jeevan se uska koi sambandh hai (Is that Relevant to our lives today? Isn't that an obscure past?)...to maen saboot samet aapse keh sakta hoon ki sambandh hai (It is Relevant, and in no way Obscure)...Hamari Sanskriti...arthaat, Hamari Maansikta ki Shiksha, aaj bi, nichle staron par Ramayan se, aur Oonche staron par Geeta (Bhagwad Geeta) aur Upanishadon se aati hai...hum bharatiya hi isliye hain ki hamare andar jo Aatma-Gyan hai woh Upanishadon ka hai...wahi Upanishad jo kayi Hazaar saal purane hain...wahi Upanishad jo Aaj America ke bade bade Management Institutes mein padhaye jaate hain...ek waqt tha jab Nadir Shah aur Mohammed Ghori hamara khazana loot kar le gaye thhe...aur ek aaj hai ki hum khud hi apna khazana bahar phenk de rahe hain...kyunki hum usey pehchaan hi nahin paa rahe hain...aankhon ke saamne hai, par phir bhi dekh nahin paa rahe hain...

Par isme logon ka bhi kya dosh ? 60 saal se agar aapko lagatar G-Baba ki patti padhai jaaye aur kaha jaaye ki unki Non-Violence hi "Ahimsa" hai, jab G-Baba ke naam ke aur N-Baba ke satta ki raksha ke liye hamare itihas ke pannon se baaki saare Deshsevakon ke naam hi mita diye jaaye...ya unke poore yogdaan ka 1% se bhi kam dikhaya jaaye...aur kai ghatnayen daba di jaayen (Ardh-Satya Mithya se bhi zyada Khatarnaak hota hai)...to woh aur kya dekhne ke layak reh jaayenge? Unki drishti G-Baba naam ke deewar se takrakar wapas aa jayegi...uske peechhe kabhi jaa hi nahin payegi...uske peechhe woh kabhi kuchh dekh hi nahin paayenge...

Lekin yadi kabhi inki drishti ne us deewar ko bhed diya...to qayamat aa jayegi....Ek Sampoorna Naya Bharatvarsh aapko dikhai dega...Ek itna Gauravpoorn, Ek itni Garimamay Bharatvarsh aapko dikhega...jo lagbhag kalpanaateet lagega. Swayam apni aankhon par bharosa nahin kar sakenge....Maanta hoon ki kuch bade-bade dosh bhi dikhai denge...par aaj hum us dosh ko Modern Knowledge ki roshni mein sudhaar sakte hain...woh shayad koi bahut badi baat nahin hogi...Lekin jo achchha milega...woh is burey se kai laakhon guna zyada achchha hoga...

Aur isiliye tabhi aap ko dikhai dega ki maen Netaji Subhash Chandra Bose par itna stress kyon karta hoon...kar raha hoon...kyonki tabhi aap ko dikhai dega ki woh Bharat ke Best Representative kyon hain...kyonki woh kisi aur ke nahin...balki swayam Swami Vivekananda ke shishya thhe....to unse achchha Bharatiyata ko aur kaun samajh sakta hai...?

Bahut Bol Gaya...Aavegvash bahut kuchh keh daalaa...par isi asha mein keh gaya ki shayad aap hi hain jo samajh sakteen hain...kuch aur log bhi hain yahan jo samajhte hain...par aap shayad sabse achchha samajh sakti hain...

Aapke bahumulya samay ke liye pratul dhanyavaad,

Aapke diye Protsaahan ko shirodhaarya karta hua,

Aapka,

Summit.

Last edited by Summit Ensign; 09-06-2011 at 05:54 AM
  #32  
09-06-2011
Junior Member
 
: Aug 2011
: Maharashtra
: 42
:
: 8 | 0.00 Per Day

I urge delhi university youth that, you have got the first opportunity to show a horrifying mirror to congress......i am not a BJP worker or supporter.......but yes in today's date I AM AGAINST UPA, AGAINST CONGRESS, AGAINST CORRUPTION.
Make ABVP win at any cost.
  #33  
09-06-2011
Senior Member
 
: Aug 2011
: Kolkata
:
: 384 | 0.08 Per Day

Usse kya ho jayega...These Politicians are all the same...Don't you remember what Anna said - "This govt. has gone through a Graduation in Corruption...the next one will complete a Ph.D."

At this moment, I and many others feel one good way would be this - (please go to the link below)
High time.....anna supporters should contest next elections and we should make them win
Please let us know your thoughts on it.

Summit.
  #34  
09-06-2011
Junior Member
 
: Aug 2011
: Maharashtra
: 42
:
: 8 | 0.00 Per Day

I will not only love but would like to voluntire Annaji's party for their election campaigning.
  #35  
09-06-2011
Senior Member
 
: Aug 2011
: Kolkata
:
: 384 | 0.08 Per Day

Great Navjyot...Yes, even I'll like to Volunteer for the Election Campaigning...
  #36  
09-26-2011
Junior Member
 
: Sep 2011
: Delhi
:
: 9 | 0.00 Per Day

To remove corruption from system people should unite
  #37  
09-26-2011
Senior Member
 
: Apr 2011
: gwalior
: 55
:
: 711 | 0.15 Per Day
"Writers are growing 'Bose'."

Gentle men ! "We writers are growing 'Bose' as no one seems in a mood to let government to breath smoothly."
  #38  
09-26-2011
Senior Member
 
: Aug 2011
: Kolkata
:
: 384 | 0.08 Per Day

Gentle men ! "We writers are growing 'Bose' as no one seems in a mood to let government to breath smoothly."

....HA HA...I like that....!!!....

Last edited by Summit Ensign; 09-27-2011 at 12:13 AM
  #39  
09-27-2011
Junior Member
 
: Sep 2011
: Delhi
:
: 9 | 0.00 Per Day

thanks, for comments
  #40  
10-08-2011
Junior Member
 
: Oct 2011
: Rampur UP
:
: 6 | 0.00 Per Day

Bhrashtaar ko khatm karke hi dam lenge


JAI ANNA
JAI HIND

 




India Against Corruption
India Against Corruption is a PUBLIC Forum, NOT associated with any organisation(s).
DISCLAIMER: Members of public post content on this website. We hold no responsibility for the same. However, abuse may be reported to us.

Search Engine Optimization by vBSEO 3.6.0