|
|
Pratyasion ke dwara sapath patrais aandolan ka kuchh bhar janta par bhi diya jana chahiye. janta ki bhavnayen alag alag partiyon se juri hai ..... |
#1
|
|||
|
|||
Pratyasion ke dwara sapath patra
is aandolan ka kuchh bhar janta par bhi diya jana chahiye. janta ki bhavnayen alag alag partiyon se juri hai aisi isthiti men janta ke dwara pratyasion se ek form bharwane ka abhiyan chalaya jay jo kanoonan abhiyan ko bal de. yatha, main apne chhetra ki janta ko bachan deta hun ki bidhan sabha/lok sabha men jitkar jane ke bad pahla karya anna ka jan lok pal bill ko prastawit karunga aur samarthan karunga, aisa nahi karne par main sambadhit sadan men bane rahne ka adhikar kho dunga, mla/mp ko prapt subidhayen mujhe na mile tatha main janta ke prati vishwas ghat karne ki saja ka bhagidar hounga, yah sapath patra mere biruddh nyayalay me prastut kiya jayega. pratyasi,chhetra, party ka nam pratyasi ka hastakshar panch gawahon ka hastakshar.(aawashyaktanusar sansodhan) (agar kisi bindu par matbhed ho to anna team ke sath barta kar samadhan hoga, bat nahi banane par khule manch se dono paksh barta karenge aur janta se samarthan milne par bindu spast hoga.) (kisi party athawa byakti ke biruddh karvai karna apni sakti ko bikherna hai, awam ki takat hamari takat hai, iska upayog karna chahiye) |
#2
|
|||
|
|||
well said si n keep writing thanks
JAI HIND |