India Against Corruption

Register

  India Against Corruption > ANTIRESERVATION FORUM > DISCUSSIONS on Reservation > Opinion
New Topics

No caste base Reservation

Reservation hona chahiye lekin uska aadhar (base) jaati (CASTE) nahi hona chahiye apitu uska adhar aarthik nirdhanta ya garibi hona .....




  #1  
04-07-2011
Junior Member
 
: Apr 2011
: RAIPUR C.G.
: 45
:
: 7 | 0.00 Per Day
Thumbs up No caste base Reservation


Reservation hona chahiye lekin uska aadhar (base) jaati (CASTE) nahi hona chahiye apitu uska adhar aarthik nirdhanta ya garibi hona chahiye jiske karan ye pratispardha me nahi aa paa rahe hai.

Jaisa ki hamare samvidhan me diye gaye maulik adhikaro me shamil SAMANTA ke adhikar me varnit hai ki Desh me Jaati, Dharm, Ling, Rang, Bhasha-Boli yaa Khaan-Paan, Vesh-Bhusha ke adhar par bhedbhav nahi kiya jayega ye tabhi smbhav hai jabki reservation band ho.

Hame reservation ko band karna hoga iski jagah sirf kamjoro aur peedit jano ko aarthik sahyog dekar unhe pratispardha ke kabil banana hoga.

Yah ek sarvamanya satya hai ki kisi ko aise apradh ki saza nahi milna chahiye jise usne kiya hi nahi, ateet me uchchh varno dwara nimna jaati-varno par kiye gaye amanviya vyahaar ke liye aaj ke parivesh me uchchh jaativarno ke pratiyogiyo ko nahi milna chahiye jo ki aaj ke jaatigat reservation me ho raha hai jabki kai mamlo me dekhne ko milta hai ki aarthik abhav ke karan uchchh jaati varg ke pratiyogi bhi apni pratibha ko nahi dikha paate, hame aise pratiyogi ko aarthik sahayata dene vyavastha karni chahiye.
Hame chahiye ki hum ek achchhi pratispardha ka vatavaran banaye jis se ki yogyataon ki pratispardha ho sake aur yogyta ke aadhar par chunav kiya jaye.

Science - technology jaise vishayo me jaatigat aadhar par reservation dekar aage badane se kisi desh ka bhala nahi ho sakta.

Subir Sarkar
Raipur C.G.

Last edited by SubirSarkar; 04-07-2011 at 06:01 PM : spell & contact detail
  #2  
04-07-2011
Junior Member
 
: Apr 2011
: 43
:
: 4 | 0.00 Per Day

Ji han mujhe bhi aisa lagta hai ki "jati adharit arkshan" nahi honi chahie balki hona to ye chahiye ki kamjor aadmi ko parhne-likhne se adhik arakshn nahi milna chahiye chahe wo kisi jati ka ho. Phirn age uski apne takat wo age barhe ya piche rahe.
dharam prakash mishra
an actor
09304406821
  #3  
04-07-2011
Junior Member
 
: Apr 2011
: Sidhauli (Sitapur)
:
: 2 | 0.00 Per Day

Yes!
I am agree!

 




India Against Corruption
India Against Corruption is a PUBLIC Forum, NOT associated with any organisation(s).
DISCLAIMER: Members of public post content on this website. We hold no responsibility for the same. However, abuse may be reported to us.

Search Engine Optimization by vBSEO 3.6.0