View Single Post
  #13  
04-15-2011
Anil Kumar Sahu
Junior Member
 
: Apr 2011
: Borid Village,Durg,Chhattishgarh
: 44
:
: 1 | 0.00 Per Day
Thumbs up Its very good Poem. loved it!!

Jago sab desh vasio jago
Uth jao sab ho jao tayaar
Waqt de raha hai sabko ab awaaz
Aaage badna hai sabko milke aaj

Bharat Mata aaj pukare apne lallo ko
Door karna hai ab in andhirayon ko
Bhaagana hai in assteen ke saapon ko
Phir se desh bachana hai ab saro ko

Yeh jo baithe hai delhi main raja bankar
Loot rahe hai desh ko yeh sab milkar
In sab ko ab yeh hame batlana hai
Naya bharat ab hame banana hai

Inka sab kaala dhan vaapis lana hai
Khushaal phir se desh ko banana hai
Duniya ko aab hamne batlana hai
Bharat Mata ka garv bhadana hai

Khao kasam aaj sab milkar bharatwasi
Tamil,Marathi, Punjabi, Bengali ya Gujrati
Sabko aaj kuch kar dekhana hai
Bhrastachar ko desh se bhagana hai