|
|
Dushyant ka Bayaan !!!ek gudiya ki kai kathputaliyon mein jan hai aaj shayr ye tamasha dekh kar hairan hai, ek buddha aadami hai ..... |
#1
|
|||
|
|||
Dushyant ka Bayaan !!!
ek gudiya ki kai kathputaliyon mein jan hai aaj shayr ye tamasha dekh kar hairan hai, ek buddha aadami hai mulk mein ya yon kaho is andheri kothari mein ek roshan-daan hai, maslahat-aamez hote hain siyasat ke kadam tu na samjhega siyasat tu abhi insan hai, is kadar paabandi-e-majahab ke sadke aapke jab se aazaadi mili hai mulq mein ramzan hain, kal numaish mein mila tha cheethade pahne huye maine poochha naam to bola ki HINDUSTAAN hai, mujh mein rahate hain karodon log chup kaise rahun har gazal ab sultnat ke naam ek bayan hai !!! |