India Against Corruption

Register

  India Against Corruption > INDIA AGAINST CORRUPTION > DISCUSSIONS

Bhrashtachar ek saamajik Burai hai.

Aaj humarey desh ka ek verg Bhrastachar ko lekar Aandolit hai.Yaha ek verg ka arth ye hai ki samaj ka .....




  #1  
06-11-2011
Junior Member
 
: May 2011
: Patna,Bihar
:
: 16 | 0.00 Per Day
Lightbulb Bhrashtachar ek saamajik Burai hai.


Aaj humarey desh ka ek verg Bhrastachar ko lekar Aandolit hai.Yaha ek verg ka arth ye hai ki samaj ka ek bahut bare verg ki sahbhagita iss Aandolan me nahi hai.Ye ek katu satya hai aur isey humey manana hoga.Aisa nahi hai ki ye verg bhrashtachar se trast nahi hai,hai aur shayad sabsey jyada,phir bhi dur hai iss Aandolan se.Humey iska Satik aur vyavharik jawab dhundhan hoga.
Pahley to ye samjhna hoga ki Bhrashtachar koi ek din ki baat nahi hai.Bhrashtachar sirf kaali kamai ko nahi kaha ja sakta.Bhrashtachar ek samajik burai hai.Jaise Dahej pratha,Sati pratha,Bal vivah,Larkiyo ki bhrun hatya jaisi bahut si samjaik buraiyo ki tarah ye bhi ek samajik burai hai.Ye utna hi purana hai jitna veshywriti hai.
Bhrastachar ek aisa mudda hai jisey kisi khas dal,verg,samuh ya vyakti se jore kar nahi dekha jasakta.Hume ye manana hoga ki Bhrashtachar sirf kanoon ka mamla nahi hai.Kanoon to humarey yaha sabhi samajik buraiyo ke liye hai to kya wo burai samaj se khatam ho gayee,nahi.Hume kanoon se jyada samajik jagriti ki jarurat hai.Sirf kanoon bana deney se Bhrashtachar samapt nahi hoga.
Samajik jagriti ka rasta kathin aur lumba jarur hai lekin prabhawkari hoga.Kanoon jarur baney lekin issey koi prabhwkari result nahi milega.
Jab tuk Bimari ki sahi pahchan nahi hoga tub tuk bimari ka sahi ilaj bhi nahi hoga.
kya hum iskey liye ready hai?

 



India Against Corruption
India Against Corruption is a PUBLIC Forum, NOT associated with any organisation(s).
DISCLAIMER: Members of public post content on this website. We hold no responsibility for the same. However, abuse may be reported to us.

Search Engine Optimization by vBSEO 3.6.0