View Single Post
  #1  
05-08-2011
rajivranjansinha
Junior Member
 
: May 2011
: Patna,Bihar
:
: 16 | 0.00 Per Day
Lightbulb NGOs-Khaney ke Daat kuch aur Dikhane ke kuch aur.

Aajadi ke baad sarkar ne NGO ki kalpna ki kyonki Socha gaya ki inkey dwara bhi Samaj ke vikas me sahyog milega.Ye ek prajatantrik,bywaharik aur shudh soch tha.
Lekin hua bilkul ulta.Aaj NGO ka gathan mauj-masti,apni berojgari mitaney aur kai tarah ke scandels karney ke rup me hota hai.Bihar aise Pradesh me hajaro NGO hai jo Sarkar,sarkari vibhag aur kuch to videshi funding agency se lakho-karoro rupya lete hai shiksha,swasth,pryavaran aadi ke naam per,lekin result kya hua?Ab tak jitna paisa inko mila hai utney me to Bihar me uprokt sewao ka drishya kuch aur hota.Kahney ko to janch agenciya hai lekin wo karti kya hai?Jyadatar NGO sanchalko ka living dekh kar lagta hai ki Ye kisi bare Corporate gharane ke barey executive hai.Kaha se aata hai itna paisa?Kya isi ke liye inhey fund diya jaata hai?Yaha to aisi bhi agencies hai jo apney ko NGO kahti hai lekin main kaam unka hai NGOs ko fund dilana aur usmey apna share lena.
Agar thik se aur Imamndari se inki janch ki jaaye to Ye spectrum ghotala se bhi bara scandel hoga.