India Against Corruption

Register

  India Against Corruption > INDIA AGAINST CORRUPTION > Starters > Feedback and Suggestions

Are we Serious about fight against Corruption ?

Mere pyare bhaio or baheno, Bahot khushi ho rahi hai aaj ye dekh kar ke desh ke sare log ek .....



1
  • 1 mehul.in


  #1  
08-24-2011
Junior Member
 
: Aug 2011
: Ahmedabad
: 47
:
: 1 | 0.00 Per Day
Are we Serious about fight against Corruption ?


Mere pyare bhaio or baheno,


Bahot khushi ho rahi hai aaj ye dekh kar ke desh ke sare log ek sath milkar desh ke sabse bade dushman " Bhrashtachar ko khatam karane ke liye ikaththa hue hai. Yehi ek sache Gantantra ki Nishani hai. Ye India Against Corruption ki fight me support karna bahot hi accha kam hai or hum sabko isme hissa lena chahiye.Par kya sirf aise march karne se, nare lagane se, " I am Anna " likhi hui Gandhi topi pahenane se kya hum sahi maine me Bhrastachar ko khatam kar payenge.



Nahi ye kabhi mumkin nahi hoga. Hum ye kisi or ko badalne ki movement kar rahe hai par kya hum ne ye socha hai ki hum khud kitane saf or pavitra hai. Ye bahot hi important bat hai ki kya hame kisi bhrastachari neta ke khilaf ungli uthane ka hak hai, Kya humne kabhi apni life me aisa koi kam nahi kiya hai jese Bhrastachar kaha ja sake. Gandhi Bapu ne kaha tha ki " Be the change if you want to change the world " Agar hum duniya ko badalna chahte hai to pahele hame khud ko badalna hoga. " Hum badlenge Yug Badlega ".Ye bat to aap sab log jante honge ki sari duniya ko badalna mushkil hai par sirf ek apne aap ko badalna bahot aasan hai. Hum khud ye pratigya / shapath le ki hum aajse kabhi koi bhi aisa kam nahi karenge or aise kam me sath nahi denge jisme corruption ho or jo deshke khilaf ho. Agar hum sirf itna kar paye to bhi bahot hoga. Agar aise har Nagarik khudko Bhrastachar se dur rakhe to khudbakhud bhrastachar kam ho jayega kyoki jab koi dene vala nahi rahe ga to lene vala lega kya.Ek bat samjana jaroori hai ki agar hum sirf hum ko badal nahi paye to fir sabko badalke desh se corruption dur karneki aasha chhod deni chahie.


Main Yaha par aap sabko Bhrastachar ka matalab batana chahta hu kyoki hum sabko ye missunderstanding hai ki sirf jo neta log karte hai vohi Bhrastachar hai. Bhrastachar ka matalab hai " Bhrast + Achar = Bura vyavhar = Aisa karya jo deshke liye, dheshke logo ke liye bura ho. Asia jaroori nahi hai ki har aise bure kam me paise ka vyavhar ho. Hum agar raste par kahi bhi gandgi karte hai use bhi Bhrast achar kaha jayega.


Ye bhi Bhrastachar hai ...
-- Desh me bane kayde kanoon ko todana

-- Kisi bhi tarah ke Tax ki chori karna
-- khane ki chizo me milavat karna
-- Bina tiket ke public vehical me travel karna
-- davaio me milavat karna
-- apne ass pass public place pe gandagi karna
-- desh ke hit me na ho aisi chizo ko badhava dena jaise Shrab, Jua, tobacco etc.
-- jo kam hame diya gaya hai or jiska hame paisa milta hai vo kam 100 % dilse nahi karna
-- School or colleges me donation dena
-- sarakari kachahari o se kam nikalvane ke liye paise dena
-- Shikshak log jo school me padhane ke bajaye tution me ruchi rakhte rakhana
-- Industrial polution failanaAise bahot se aise kam hum karte hai jise bhrast achar kaha jayega.



Kya hum khudko in chizo se dur karke apne aapko bhrastachar mukt kar payenge. Agar aap aisa nahi kar pate hai to sirf un logo ki or dekhana jo apke aise bhrast vyavhar ki vajah se dardbhari jindagi gujarte hai.


-- Aap ke tax na dene ki vajah se desh ke kitne bacche bukhe sote hai,

-- Kitane log bina davaio ke marate hai
-- Kitane log bina chhat ke sote hai
-- kya apne socha hai ki isi bhrastachar ki vajah se ek hi deshme paida hone par bhi bahot se log Nark se bhi buri jindagi jite hai.

-- Kitane logo ko shuddh pani pine ko nahi milta
-- Aaj deshme itana dhan paida hone par bhi deshke kai log bhukh se marte hai
-- Deshke kai baccho ko sahi or acchi shiksha nahi mil pati.



Jisake pass chhat hai, do vaktki roti milti hai use ye bhrastachar ke khilaf ki ladai ka mahatva nahi samaj me ayega, unke liye ye sirf ye ek hot topic hai jispe debate karne ka maja aata hai, thoda debate kiya fir ghar jake pet bhar khake so gaye, bas bat khatam.



Kya ham sab me sahi maine me is bhrastachar ke rakshash ko khatam karne ki chah hai ? Kya hum khudko badalkar is deshse bhrastachar khatam karna chahte hai ? Kya hum apne deshke garib or pichade bhai baheno or baccho ka dard samaj sakte hai ?



Agar ha hai to aao aaj hum sab milkar ye shapath / pratigya le ki " Hum aaj se aisa koi kam nahi karenge jo deshke heet me na ho or jisase deshke kisi bhi nagarik ko takalif pahoche. " Hum aise rastra ka nirman kare ki hum garv ke sath kahe sake ki " I proud to be an Indian " Shayad fir hame kisibhi Lokpal jaise kanoon ki jaroorat hi na rahe.Hum sab apna sir uncha karke garv se kahe sake ki " I am not Corrupt "


Agar aap sab log meri is chhotisi bat se sahemat ho to please is message ko apne sare deshvasi o tak pahochaye or ek majboot rastra ka nirman kare.


Jai Hind ......
  #2  
08-24-2011
Senior Member
 
: Aug 2011
: Kanpur UP
: 39
:
: 373 | 0.08 Per Day

Deshprem to har bharatwasi ke dil me hai jo ki vartman samay me hum sabhi ke samne hai lekin ye bahut lambi ladai hai jisme hum sabhi logo ko ek sath mil ke isi tarah bhrastachariyo ko jawab dete rhna hai. janlokpal bill ke pass hone ke baad hume fir govt offices me ho rhe bhrastachar pe halla bolna aur hum sab milke ye karenge aisa mujhe aur aap sbhi logo ko vishvas hai JAI HIND

 



India Against Corruption
India Against Corruption is a PUBLIC Forum, NOT associated with any organisation(s).
DISCLAIMER: Members of public post content on this website. We hold no responsibility for the same. However, abuse may be reported to us.

Search Engine Optimization by vBSEO 3.6.0