06-30-2011
|
Junior Member
|
|
: Jun 2011
: Pandav Nagar, Delhi
:
: 1 | 0.00 Per Day
|
|
Create New Party
Namaskar,
Mein is aandolan ko dil se samarthan de raha hun. Lekin mujhe yeh samajh nahin aa raha ki ek kanoon/ek Lokpal samiti bhi janata ki maang ke anusar sarkar banane ko teyaar nahin. Abhi tak itne kanoon sansad mein bane lekin humne virodh tak nahin kiya aur ek kanoon hum banana chahte hain to ismein itni rajniti ho rahi hai. Jo bhi kuch pichle 4-5 mahinon mein anna ji ke saath aur baba ramdev ke sath hua, wo yeh batane ke liye kafi tha ki sarkar/rajnitigyon ki nazar mein hum janta ki kya okaat hai. Is liye meri yeh rai hai ki anna ji ko sare matbhed/manbhed bhoolkar sabhi ko chahe wo koi dharmik sangathan ho, ya political party ho sabka samarthan lena chahiye, aur 16 august ka andolan itna bada hona chahiye ki lage ki pura hindustan civil society ke saath khada hai. Kyonki jo bhi ghatnakram chal raha hai use dekhkar yahi lagta hai ki sarkar civil society ke lokpal bill ko nahin apnayegi. is liye sarkar par itna dabav banaya jaye ki sarkar majboor ho jaye. Ismein koi burai nahin ki kaun lokpal ke liye samarthan de raha hai. Humein majboot lokpal bill banana hai, phir chahe wo kisi ke bhi samarthan se bane, agar samarthan dene wala galat hai to ek din wo bhi lokpal ki jaanch mein aa jayega. Aur agar yeh sab nahin karna hai to phir sarkar se ummeed mat karo ki wo civil society ka lokpal bill layegi.
|