
04-07-2011
|
Junior Member
|
|
: Apr 2011
: lucknow
: 48
:
: 2 | 0.00 Per Day
|
|
dharma yudha
anna hazare ji ko hamara shat-shat naman,ki unhone vo kam shuru kiya hai jisaka hamare desh ko varsho se intjar tha.Aaj vo samay agaya hai ki ham apni bharat mata ko in mukhauta pahne hue netao ke giroh se jinhone ajadi ke turant bad is desh ko bandhak bana liya tha,se is desh ko ajad karaya jay par isake liye hame fie se kurbani dene ke liye taiyar rahna chahiye kyonki in rakt pipasu nakali neta jo ki vastav me lutero ka samooh hai asani se is desh par se apna kabja chhodne vala nahi hai,vo har tarike ke chhal -kapat,har un hathkando ka istemal karega jisase hamai avaj ko dabaya ja sake,isliye hame bahut majbuti aur dhairy ke sath tab tak date rahna hoga jab tak ki ham hamare lakchhy ko hasil nahi kar lete.
Last edited by manirakesh; 04-07-2011 at 09:13 PM
|