View Single Post
  #1  
08-24-2011
Deepak4achieve
Member
 
: Aug 2011
: Singheshwar
: 36
:
: 44 | 0.01 Per Day
Nariyal ke ped par Anna samarthak

Dainik Jagran - 24/8

Log apne-apne tarike se Anna ke anshan ka samarthan kar rahe hain, lekin ek wyakti ne is muhim ke liye nayab tarika apnaya.

Kottayam ke 60 yrs ke Rajendram nariyal ke ped par chadhkar ansan kar rahe hain. Wah anshan ke liye apne gawn ke nariyal ke ped par subah 8 baje chadh jate hain aur sham dhalne par niche utarte hain. Ganw wale us ped ke niche ekatra hokar din bhar anshan kar rahe hain. Rajendrm ke anshan ko dekhne ke liye aas-pas ke gawn wale v aa rahe hain.
Is sambandh me Rajendram ka kahna hai 'jab tak Anna anshan jari rakhenge tab tak main v apna anshan jari rakhunga. Cancer ki tarah fail chuke is bhrastachar ko khatm karne ke liye sarkar ko majbut lokpal bill lana hi padega.'