View Single Post
  #4  
05-23-2011
anujsunil
Junior Member
 
: May 2011
: farrukhabad
: 34
:
: 10 | 0.00 Per Day

The education system of our country cannot get improved in any way,this is very clear.But i have a suggestion to give improvement to the education system of India.
Hamare desh me bahut se sarkari schools hain. Govt ko jo ham tax pay karte hain uska ek bahut bada hissa education development plans me invest kia jata hai. Is education development plan me new schools open kiye jate hain,schools me bachche aaen daily uske liye unhen mid day meals provide kiya jata hai. Itna sab kuch karke bhi govt education ko behtar nahi bana payi hai. Iska kaaran hai ki jo teacher hain wo padana nahi chahte.Wo schools me time pass karte hain ya fir attendence lagwakar ghar chale jate hain ya schools me hi apne ghar k kaamo ko pura karte hain. Jab teacher padane me interest nahi lega to bachche padenge kya. Aaj ka bachcha padna chahta hai par sarkari teachers use padane me fail rahte hain. Iska main reason hai ki teacher bachchon ko schools ki jagah ghar par coaching padana jyada pasand karte hain. Is coaching k badle unko fees milti hai jo unki extra income hoti hai.Par aapko yeh pata hai ki ghar par coaching me b wo bachchon ki padai k naam par sirf formalities hi karte hain.Wo bachchon ko bina padaye hi paas karte rahte hain.
Jab sarkaar kahti hai ki education system hamara bahut achcha hai aur schools me padai achchi hoti hai to unke khud k bachche sarkaari schools me kyn nahi padte hain. Unke khud k bachche to private schools me padte hain to education system kahan se behtar hai govt ka. Hamare dwara jama kia hua tax ka paisa kahan education development me invest hota hai.
Ek sarkaari teacher ki salary 30000/= per month hai jisme use keval 6 mahine hi padana hota hai baki time holidays hi ho jati hain.Uske baad wo approx 50 se 100 students ko wo ghar me coaching deta hai minimum rs.250 per month par means ek mahine me wo coaching se approx 25000 rupees earn karta hai matlab wo mahine me totel 55000 rs kamata hai par fir bhi wo ek achchi education dene me fail rahta hai.
Ek private teacher ki salary 2500 se 5000 per month hoti hai aur wo approx din me sirf 7 se 10 students ko hi padata hai average 500 rs per student. Matlab wo mahine me 10000 rs maximum earn karta hai aur ek bahut achchi education provide karta hai. Tabhi to sarkaari employees politicians aur har ameer aadmi k bachche private schools me padte hain aur better education get karte hain.
Govt education system tab tak better nahi ho sakta jab tak ki constitution me change na laya jaye.Change me govt rule banaye ki sarkaari employee aur sare politicians k bachche sirf govt schools me hi education get kar sakte hain. Unpar private education par rok lagai jaye. Jab unke bachche aur garib bachchon k saath me same schools me padenge to teacher majburi me achcha padayenge warna unki shikayat upar ho jayegi aur govt education system best ho jayega aur har bachche ko achchi education milegi tabhi desh tarakki kaar sakega.

Last edited by anujsunil; 05-23-2011 at 12:17 AM