View Single Post
  #1  
05-22-2011
anujsunil
Junior Member
 
: May 2011
: farrukhabad
: 34
:
: 10 | 0.00 Per Day
Save urself from reservation

Reservation ka mean to lagbhag sabhi log jante hi honge.Par kabhi hamne iski merits aur demerits ko analyse kiya hai.Jawab hai nahi kia, kyn ki ham apne aaj k fayde ko dekhte hain aur kal k shraap ko bhul jate hain.
Q.Education aaj k time me compulsory kyn hai?
A.Ham apne work ko achche dhang se kar saken, logon se achcha byavhar kar saken, achcha soch saken, mind ko fast bana saken, for the development of mind and human personality, koi bhi kaam effectively pura kar saken kam time me. Sabka nichod hai ki maturity aur personality ko develop karne k liye aur human behavior ko best banane k liye education is compulsory.
Par kya aapne socha hai ki jo padai me achcha nahi ho sakta wo life k sare sections me achcha savit ho sakta hai kya. Jawab hoga nahi
Bharat me bahut sari jati aur upjati rahti hain. Ek general category ka citizen bahut achchi padai karta hai aur bahut achche numbers lakar paas hota hai par wo sarkari naukri se bahut dur rah jata hai. Iska sabse bada kaaran hai reservation.
Jab koi general category ka citizen kadi mehnat karke 65% number lata hai aur wah naukri k liye apply karta hai par naukri milte milte rah jati hai. Iska kaaran hai reservation. Kyn ki wahi naukri reservation k kaaran dusre ko mil jati hai jiske number 40% hote hain aur jisne padai par vishesh dhyan kabhi nahi diya tha. Reservation me hamesha 85% naukri unko mil jati jinke number kam hote hain in comparison to general category student.
Jab koi person achcha pad nahi sakta to wah achcha work kaise kar sakta hai. Kynki agar usme achcha work karne ki capability hoti to wah achche number la sakta tha.
Reservation me sirf siksha ka vahishkaar hota hai.
Is desh me sabko samaan adhikaar hain to fir hame different categories me kyn bata gaya hai. Sabko samaan adhikaar hona chahiye. Ham achche number layenge to naukri milni chahiye nahi to nahi. Jab ham 20 saal tak padai me achche saavit nahi ho sakte to fir zindgi k 65 saal tak naukri me achche saavit kaise ho sakte hain.
Yahi kaaran hai ki desh me corruption din par din bad raha hai. Jab system me asikshit
log ya kam sikshit log bhare honge to wo apna kaam na to sucharu dhang se karenge na hi dusro ko karne denge. Wo sirf rishvat ko badaba denge aur isi par dhyan denge.Corruption ka ek sabse bada kaaran hai reservation chahen ise janta mane ya na mane par ek din ise manna padega har caste ko. Main khud backward caste se hun par iska virodh karta hun aur karunga. Corruption ko yadi jad se hatana hai to reservation ko hatana hoga. Bina reservation ko hataye ham corruption ko jad se nahi mita sakte
HAME YOGYATA KI TASVEER CHAHIYE HAI,
AARAKSHAN KI BHEEK NAHI

Last edited by anujsunil; 05-22-2011 at 01:27 AM